Jhumke Dikha Ke Tur Ko Jin Ne Jala Diya
jhumke dikha ke tur ko jin ne jala diya
aai qayamat un ne jo parda uTha diya
us fitne ko jaga ke pasheman hui nasim
kya kya aziz logon ko un ne sula diya
ab bhi dimagh-e-rafta hamara hai arsh par
go aasman ne KHak mein hum ko mila diya
jaani na qadar us guhar shab charagh ki
dil reza-e-KHazaf ki tarah main uTha diya
taqsir jaan dene mein hum ne kabhu na ki
jab tegh wo buland hui sar jhuka diya
garmi charagh ki si nahin wo mizaj mein
ab dil fasurdagi se hun jaise bujha diya
wo aag ho raha hai KHuda jaane ghair ne
meri taraf se us ke tain kya laga diya
itna kaha tha farsh teri rah ke hum hon kash
so tu ne mar mar ke aa kar bichha diya
ab ghaTte ghaTte jaan mein taqat nahin rahi
Tak lag chali saba ki diya sa baDha diya
tangi laga hai karne dam apna bhi har ghaDi
kuDhne ne dil ke ji ko hamare khapa diya
ki chashm tu ne baz ki khola dar-e-sitam
kis muddai KHalq ne tujh ko jaga diya
kya kya ziyan 'mir' ne khinche hain ishq mein
dil hath se diya hai juda sar juda diya
(470) Peoples Rate This