Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain
jahan ab KHar zarin ho gai hain
yahin aage bahaaren ho gai hain
junun mein KHushk ho rag-ha-e-gardan
gareban ki si taren ho gai hain
suna jata hai shahr-e-ishq ke gard
mazaren hi mazaren ho gai hain
isi darya-e-KHubi ka hai ye shauq
ki maujen sab kanaren ho gai hain
unhin galiyon mein jab rote the hum 'mir'
kai dariya ki dhaaren ho gai hain
(445) Peoples Rate This