Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cac145e06deb8e3c1b68847cf4d895c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai

jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai

rumal do do din tak jun abr tar rahe hai

aah-e-sahar ki meri barchhi ke waswase se

KHurshid ke munh upar aksar sipar rahe hai

aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-rawish se

aane mein us ke lekin kis ko KHabar rahe hai

un rozon itni ghaflat achchhi nahin idhar se

ab iztirab hum ko do do pahr rahe hai

aab-e-hayat ki si sari rawish hai us ki

par jab wo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai

talwar ab laga hai be-Dol pas rakhne

KHun aaj kal kisu ka wo shoKH kar rahe hai

dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko

tab se udhar hi aksar meri nazar rahe hai

aaKHir kahan talak hum ek roz ho chukenge

barson se wada-e-shab har subh par rahe hai

'mir' ab bahaar aai sahra mein chal junun kar

koi bhi fasl-e-gul mein nadan ghar rahe hai

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jab Rone BaiThta Hun Tab Kya Kasar Rahe Hai in PDF.