Jab Ham-kalam Humse Hota Hai Pan Kha Kar
jab ham-kalam hum se hota hai pan kha kar
kis rang se kare hai baaten chaba chaba kar
thi jumla-tan latafat aalam mein jaan ke hum to
miTTi mein aT gae hain is KHak-dan mein aa kar
sai o talab bahut ki matlab ke tain na pahunche
na-chaar ab jahan se baiThe hain hath uTha kar
ghairat ye thi ki aaya us se jo main KHafa ho
marte mua pe hargiz udhar phira na ja kar
qudrat KHuda ki sab mein KHalul-izar aao
baiTho jo mujh kane to parde mein munh chhupa kar
arman hai jinhon ko we ab karen mohabbat
hum to hue pashiman dil ke tain laga kar
main 'mir' tark le kar duniya se hath uThaya
darwesh tu bhi to hai haq mein mere dua kar
(425) Peoples Rate This