Jaan-gudaz Itni Kahan Aawaz-e-ud-o-chang Hai
jaan-gudaz itni kahan aawaz-e-ud-o-chang hai
dil ke se nalon ka un pardon mein kuchh aahang hai
ru-o-KHal-o-zulf hi hain sumbul-o-sabza-o-gul
aankhen hun to ye chaman aaina-e-nairang hai
be-sutun khode se kiya aaKHir hue sab kar-e-ishq
baad-azan ai kohkan sar hai tera aur sang hai
aah un KHush-qamaton ko kyunke bar mein laiye
jin ke hathon se qayamat par bhi arsa-e-tang hai
ishq mein wo ghar hai apna jis mein se majnun ye ek
na-KHalaf sare qabile ka hamare nang hai
chashm-e-kam se dekh mat qumri to us KHush-qad ko Tak
aah bhi sard gulistan shikast-e-rang hai
hum se to jaya nahin jata ki yaksar dil mein wan
do-qadam us ki gali ki rah sau farsang hai
ek bose par to ki hai sulh par ai zud ranj
tujh ko mujh ko itni itni baat upar jang hai
panw mein choT aane ke pyare bahane jaane de
pesh-raft aage hamare kab ye uzr lang hai
fikr ko nazuk KHayalon ke kahan pahunche hain yar
warna har misra yahan mashuq shoKH-o-shang hai
sarsari kuchh sun liya phir wah-wa kar uTh gae
sher ye kam-fahm samjhe hain KHayal bang hai
sabr bhi kariye bala par 'mir'-sahib ji kabhu
jab na tab rona hi kuDhna ye bhi koi Dhang hai
(402) Peoples Rate This