Jaana Ki Shaghl Rakhte Ho Tir-o-kaman Se Tum
jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum
par mil chala karo bhi kaso KHasta-jaan se tum
hum apni chaak jeb ko si rahte ya nahin
phaTe mein panw dene ko aae kahan se tum
ab dekhte hain KHub to wo baat hi nahin
kya kya wagarna kahte the apni zaban se tum
tinke bhi tum Thaharte kahin dekhe hain tanik
chashm-e-wafa rakho na KHasan-e-jahan se tum
jao na dil se manzar-e-tan mein hai ja yahi
pachhtaoge uThoge agar is makan se tum
qissa mera sunoge to jati rahegi nind
aaram chashm mat rakho is dastan se tum
khul jaengi phir aankhen jo mar jaega koi
aate nahin ho baz mere imtihan se tum
jitne the kal tum aaj nahin pate itna hum
har-dam chale hi jate ho aab-e-rawan se tum
rahte nahin ho ban gae 'mir' us gali mein raat
kuchh rah bhi nikalo sag-o-pasban se tum
(414) Peoples Rate This