Ishq Mein Zillat Hui KHiffat Hui Tohmat Hui
ishq mein zillat hui KHiffat hui tohmat hui
aaKHir aaKHir jaan di yaron ne ye sohbat hui
aks us be-did ka to muttasil paDta tha subh
din chaDhe kya jaanun aaine ki kya surat hui
lauh-e-sina par meri sau neza-e-KHatti lage
KHastagi is dil-shikasta ki isi babat hui
kholte hi aankhen phir yan mundni hum ko paDin
did kya koi kare wo kis qadar mohlat hui
panw mera kalba-e-ahzan mein ab rahta nahin
rafta rafta us taraf jaane ki mujh ko lat hui
mar gaya aawara ho kar main to jaise gard-baad
par jise ye waqia pahuncha use wahshat hui
shad o KHush-tale koi hoga kisu ko chah kar
main to kulfat mein raha jab se mujhe ulfat hui
dil ka jaana aaj kal taza hua ho to kahun
guzre us bhi sanehe ko ham-nashin muddat hui
shauq-e-dil hum na-tawanon ka likha jata hai kab
ab talak aap hi pahunchne ki agar taqat hui
kya kaf-e-dast ek maidan tha bayaban ishq ka
jaan se jab us mein guzre tab hamein rahat hui
yun to hum aajiz-tarin-e-KHalq-e-alam hain wale
dekhiyo qudrat KHuda ki gar hamein qudrat hui
gosh zad chaT-paT hi marna ishq mein apne hua
kis ko is bimari-e-jaankah se fursat hui
be-zaban jo kahte hain mujh ko so chup rah jaenge
marke mein hashr ke gar baat ki ruKHsat hui
hum na kahte the ki naqsh us ka nahin naqqash sahl
chand sara lag gaya tab nim-ruKH surat hui
is ghazal par sham se to sufiyon ko wajd tha
phir nahin malum kuchh majlis ki kya haalat hui
kam kisu ko 'mir' ki mayyat ki hath aai namaz
nash par us be-sar-o-pa ki bala kasrat hui
(424) Peoples Rate This