Ishq Hamare KHayal PaDa Hai KHwab Gai Aaram Gaya
ishq hamare KHayal paDa hai KHwab gai aaram gaya
ji ka jaana Thahar raha hai subh gaya ya sham gaya
ishq kiya so din gaya iman gaya islam gaya
dil ne aisa kaam kiya kuchh jis se main nakaam gaya
kis kis apni kal ko rowe hijran mein bekal us ka
KHwab gai hai tab gai hai chain gaya aaram gaya
aaya yan se jaana hi to ji ka chhupana kya hasil
aaj gaya ya kal jawega subh gaya ya sham gaya
hae jawani kya kya kahiye shor saron mein rakhte the
ab kya hai wo ahd gaya wo mausam wo hangam gaya
gali jhiDki KHashm-o-KHushunat ye to sar-e-dast aksar hain
lutf gaya ehsan gaya inam gaya ikram gaya
likhna kahna tark hua tha aapas mein to muddat se
ab jo qarar kiya hai dil se KHat bhi gaya paigham gaya
nala-e-'mir' sawad mein hum tak doshin shab se nahin aaya
shayad shahr se us zalim ke aashiq wo badnam gaya
(1896) Peoples Rate This