Husul Kaam Ka Dil-KHwah Yan Hua Bhi Hai
husul kaam ka dil-KHwah yan hua bhi hai
samajat itni bhi sab se koi KHuda bhi hai
mue hi jate hain hum dard-e-ishq se yaro
kaso ke pas is aazar ki dawa bhi hai
udasiyan thin meri KHanqa mein qabil-e-sair
sanam-kade mein to Tik aa ke dil laga bhi hai
ye kahiye kyunke ki KHuban se kuchh nahin matlab
lage jo phirte hain hum kuchh to muddaa bhi hai
tera hai wahm ki main apne pairahan mein hun
nigah ghaur se kar mujh mein kuchh raha bhi hai
jo kholun sina-e-majruh to namak chhiDke
jarahat us ko dikhane ka kuchh maza bhi hai
kahan talak shab-o-roz aah-e-dard-e-dil kahiye
har ek baat ko aaKHir kuchh intiha bhi hai
hawas to dil mein hamare jagah kare lekin
kahin hujum se andoh-e-gham ke ja bhi hai
gham-e-firaq hai dumbaala-e-gard aish-e-visal
faqat maza hi nahin ishq mein bala bhi hai
qubul kariye teri rah mein ji ko kho dena
jo kuchh bhi paiye tujh ko to aashna bhi hai
jigar mein sozan-e-mizhgan ke tin kaDhab na gaDo
kaso ke zaKHm ko tu ne kabhu siya bhi hai
guzar shahr-e-wafa mein samajh ke kar majnun
ki is dayar mein 'mir' shikasta-pa bhi hai
(449) Peoples Rate This