Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne
hum ne jaana tha suKHan honge zaban par kitne
par qalam hath jo aai likhe daftar kitne
main ne is us sannaa se sar khincha hai
ki har ek kuche mein jis ke the hunar-war kitne
kishwar-e-ishq ko aabaad na dekha hum ne
har gali-kuche mein ujaD paDe the ghar kitne
aah nikli hai ye kis ki hawas sair-e-bahaar
aate hain bagh mein aawara hue par kitne
dekhiyo panja-e-mizhgan ki Tak aatish-dasti
har sahar KHak mein milte hain dar-e-tar kitne
kab talak ye dil sad-para nazar mein rakhiye
us par aankhen hi siye rahte hain dilbar kitne
umr guzri ki nahin do aadam se koi
jis taraf dekhiye arse mein hain ab KHar kitne
tu hai bechaara gada 'mir' tera kiya mazkur
mil gae KHak mein yan sahab afsar kitne
(455) Peoples Rate This