Hum Hue Tum Hue Ki Mir Hue
hum hue tum hue ki 'mir' hue
us ki zulfon ke sab asir hue
jin ki KHatir ki ustuKHwan-shikni
so hum un ke nishan-e-tir hue
nahin aate kaso ki aankhon mein
ho ke aashiq bahut haqir hue
aage ye be-adaiyan kab thin
in dinon tum bahut sharir hue
apne rote hi rote sahra ke
goshe goshe mein aab-gir hue
aisi hasti adam mein daKHil hai
nai jawan hum na tifl-e-shir hue
ek dam thi numud bud apni
ya safedi ki ya aKHir hue
yani manind-e-subh duniya mein
hum jo paida hue sau pir hue
mat mil ahl-e-duwal ke laDkon se
'mir'-ji un se mil faqir hue
(527) Peoples Rate This