Hum Hain Majruh Majra Hai Ye
hum hain majruh majra hai ye
wo namak chhiDke hai maza hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
bud aadam numud shabnam hai
ek do dam mein phir hua hai ye
shukr us ki jafa ka ho na saka
dil se apne hamein gila hai ye
shor se apne hashr hai parda
yun nahin jaanta ki kiya hai ye
bas hua naz ho chuka aghmaz
har ghaDi hum se kiya ada hai ye
nashen uThti hain aaj yaron ki
aan baiTho to KHushnuma hai ye
dekh be-dam mujhe laga kahne
hai to murda sa par bala hai ye
main to chup hun wo honT chaTe hai
kya kahun rijhne ki ja hai ye
hai re beganagi kabhu un ne
na kaha ye ki aashna hai ye
tegh par hath dam-ba-dam kab tak
ek laga chak ki muddaa hai ye
'mir' ko kyun na mughtanim jaane
agle logon mein ek raha hai ye
(447) Peoples Rate This