Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar
hum bhi phirte hain yak hasham le kar
dasta-e-dagh-o-fauj-e-gham le kar
dast-kash nala pesh-rau girya
aah chalti hai yan ilm le kar
marg ek mandgi ka waqfa hai
yani aage chalenge dam le kar
us ke upar ki dil se tha nazdik
gham-e-duri chale hain hum le kar
teri waz-e-sitam se ai be-dard
ek aalam gaya alam le kar
barha said-gah se us ki gae
dagh-e-yas aahu-e-haram le kar
zoaf yan tak khincha ki surat-gar
rah gae hath mein qalam le kar
dil pe kab iktifa kare hai ishq
jaega jaan bhi ye gham le kar
shauq agar hai yahi to ai qasid
hum bhi aate hain ab raqam le kar
'mir'-sahib hi chuke a bad-ahd
warna dena tha dil qasam le kar
(485) Peoples Rate This