Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a0fe8281465986792397e4bd401eac5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain

hum aap hi ko apna maqsud jaante hain

apne siwae kis ko maujud jaante hain

ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara

is musht-e-KHak ko hum masjud jaante hain

surat-pazir hum bin hargiz nahin we mane

ahl-e-nazar hamin ko mabud jaante hain

ishq un ki aql ko hai jo ma-siwa hamare

nachiz jaante hain na-bud jaante hain

apni hi sair karne hum jalwa-gar hue the

is ramz ko wa-lekin madud jaante hain

yarab kase hai naqa har ghuncha is chaman ka

rah-e-wafa ko hum to masdud jaante hain

ye zulm-e-be-nihayat dushwar-tar ki KHuban

bad-waziyon ko apni mahmud jaante hain

kya jaane dab sohbat az KHwesh raftagan ka

majlis mein shaiKH-sahib kuchh kud jaante hain

mar kar bhi hath aawe to 'mir' muft hai wo

ji ke ziyan ko bhi hum sud jaante hain

(437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hum Aap Hi Ko Apna Maqsud Jaante Hain in PDF.