Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat
hoti hai garche kahne se yaro parai baat
par hum se to thambe na kabhu munh par aai baat
jaane na tujh ko jo ye tasanno tu us se kar
tis par bhi to chhupi nahin rahti banai baat
lag kar tadrau rah gae diwar-e-bagh se
raftar ki jo teri saba ne chalai baat
kahte the us se miliye to kya kya na kahiye lek
wo aa gaya to samne us ke na aai baat
ab to hue hain hum bhi tere Dhab se aashna
wan tu ne kuchh kaha ki idhar hum ne pai baat
bulbul ke bolne mein sab andaz hain mere
poshida kab rahe hai kisu ki uDai baat
bhaDka tha raat dekh ke wo shoala-KHu mujhe
kuchh ru-siyah raqib ne shayad lagai baat
aalam siyah-KHana hai kis ka ki roz-o-shab
ye shor hai ki deti nahin kuchh sunai baat
ek din kaha tha ye ki KHamoshi mein hai waqar
so mujh se hi suKHan nahin main jo batai baat
ab mujh zaif-o-zar ko mat kuchh kaha karo
jati nahin hai mujh se kisu ki uThai baat
KHat likhte likhte 'mir' ne daftar kiye rawan
ifraat-e-ishtiyaq ne aaKHir baDhai baat
(513) Peoples Rate This