Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ac9e63dc5e22dd280bd80d9f416dee94, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se

ho aajiz ki jism is qadar zor se

na nikla kabhu uhda-e-mor se

bahut dur koi raha hai magar

ki fariyaad mein hai jaras shor se

meri KHak-e-tafta par ai abr-e-tar

qasam hai tujhe Tak baras zor se

tere dil-jale ko rakha jis ghaDi

dhuan sa uTha kuchh lab-e-gor se

na puchho ki be-e'tibari se main

hua us gali mein batar chor se

nahin sujhta kuchh jo us bin hamein

baghair us ke rahte hain hum kor se

jo ho 'mir' bhi is gali mein saba

bahut puchhiyo to meri or se

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ho Aajiz Ki Jism Is Qadar Zor Se in PDF.