Har Jazr-o-mad Se Dast-o-baghal UThte Hain KHarosh
har jazr-o-mad se dast-o-baghal uThte hain KHarosh
kis ka hai raaz bahr mein yarab ki ye hain josh
abru-e-kaj hai mauj koi chashm hai habab
moti kisi ki baat hai sipi kisi ka gosh
un mughbachon ke kuche hi se main kya salam
kya mujh ko tauf-e-kaba se mein rind-e-dard-nosh
hairat se howe partaw-e-mah nur aaina
tu chandni mein nikle agar ho safed-posh
kal hum ne sair-e-bagh mein dil hath se diya
ek sada gul-farosh ka aa kar sabad ba-dosh
jata raha nigah se jun mausam-e-bahaar
aaj us baghair dagh-e-jigar hain siyah-posh
shab is dil-girafta ko wa kar ba-zor-e-mai
baiThe the shira-KHane mein hum kitne harza-kosh
aai sada ki yaad karo dur rafta ko
ibrat bhi hai zarur Tak ai jama tez hosh
jamshed jis ne waza kiya jam kya hua
we nasihaten kahan gain kidhar we naw-nosh
juz lala us ke jam se pate nahin nishan
hai kokanar us ki jagah ab subu ba-dosh
jhume hai bed ja-e-jawanan mai-gusar
baala-e-KHam hai KHisht sar pair mai-farosh
'mir' is ghazal ko KHub kaha tha zamir ne
par ai zaban-daraaz bahut ho chuki KHamosh
(508) Peoples Rate This