Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se
hanste ho rote dekh kar gham se
chheD rakhi hai tum ne kya hum se
mund gai aankh hai andhera pak
raushni hai so yan mere dam se
tum jo dil-KHwah KHalq ho hum ko
dushmani hai tamam aalam se
darhami aa gai mizajon mein
aaKHir un gesuwan-e-dirham se
sab ne jaana kahin ye aashiq hai
bah gae ashk dida-e-nam se
muft yun hath se na kho hum ko
kahin paida bhi hote hain hum se
aksar aalat-e-jaur us se hue
aafaten aain us ke muqaddam se
dekh we palken barchhiyan chaliyan
tegh nikli us abru-e-KHam se
koi begana gar nahin maujud
munh chhupana ye kya hai phir hum se
wajh parde ki pochhiye bare
maliye us ke kaso jo mahram se
darpai KHun 'mir' hi na raho
ho bhi jata hai jurm aadam se
(491) Peoples Rate This