Hamein Aamad-e-mir Kal Bha Gai
hamein aamad-e-'mir' kal bha gai
tarah is mein majnun ki sab pa gai
kahan ka ghubar-e-ah dil mein ye tha
meri KHak badli si sab chha gai
kya pas bulbul-e-KHizan ne na kuchh
gul-o-barg be-dard phaila gai
hui samne yun to ek ek ke
hamein se wo kuchh aankh sharma gai
jigar munh tak aate nahin bolte
gharaz hum bhi karte hain kya kya gai
na ham-rah koi na kasi se gaya
meri lash ta-gor tanha gai
ghaTa shama san kyun na jaun chala
tab-e-gham jigar ko mere kha gai
koi rahne wali hai jaan aziz
gai gar na imroz farda gai
kiye dast-o-pa gum jo 'mir' aa gaya
wafa-pesha majlis use pa gai
(423) Peoples Rate This