Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya
hamare aage tera jab kisu ne nam liya
dil-e-sitam-zada ko hum ne tham tham liya
qasam jo khaiye to tala-e-zuleKHa ki
aziz-e-misr ka bhi sahab ek ghulam liya
KHarab rahte the masjid ke aage mai-KHane
nigah-e-mast ne saqi ki intiqam liya
wo kaj-rawish na mila raste mein mujh se kabhi
na sidhi tarah se un ne mera salam liya
maza dikhawenge be-rahmi ka teri sayyaad
gar iztirab-e-asiri ne zer-e-dam liya
mere saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamam umr main nakaamiyon se kaam liya
agarche gosha-guzin hun main shairon mein 'mir'
pa mere shor ne ru-e-zamin tamam liya
(412) Peoples Rate This