Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak
hain baad mere marg ke aasar se ab tak
sukha nahin lohu dar-o-diwar se ab tak
rangini-e-ishq is ke mile par hui malum
sohbat na hui thi kisi KHunKHar se ab tak
kab se mutahammil hai jafaon ka dil-e-zar
zinhaar-wafa ho na saki yar se ab tak
abru hi ki jumbish ne ye suthrao kiye hain
mara nahin un ne koi talwar se ab tak
wada bhi qayamat ka bhala koi hai wada
par dil nahin KHali gham-e-didar se ab tak
muddat hui ghuT ghuT ke hamein shahr mein marte
waqif na hua koi us asrar se ab tak
barson hue dil-soKHta bulbul ko mue lek
ek dud sa uThta hai chaman-zar se ab tak
kya jaaniye hote hain suKHan lutf ke kaise
puchha nahin un ne to hamein pyar se ab tak
us bagh mein aghlab hai ki sarzad na hua ho
yun nala-kaso murgh-e-giraftar se ab tak
KHat aae pe bhi din hai siyah tum se hamara
jata nahin andher ye sarkar se ab tak
nikla tha kahin wo gul-e-nazuk shab-e-mah mein
so koft nahin jati hai ruKHsar se ab tak
dekha tha kahin saya tere qad ka chaman mein
hain 'mir'-ji aawara-pari dar se ab tak
(487) Peoples Rate This