Hai Haal Jae Girya-e-jaan Par Aarzu Ka
hai haal jae girya-e-jaan par aarzu ka
roe na hum kabhu Tak daman pakaD kaso ka
jati nahin uThai apne pe ye KHushunat
ab rah gaya hai aana mera kabhu kabhu ka
us aastan se kis din pur-shor sar na paTka
us ki gali mein ja kar kis raat main na kuka
shayad ki mund gai hai qamri ki chashm-e-giryan
kuchh TuT sa chala hai pani chaman ki ju ka
apne taDapne ki to tadbir pahle kar lun
tab fikr main karunga zaKHmon ke bhi rafu ka
danton ki nazm us ke hansne mein jin ne dekhi
phir motiyon ki laD par un ne kabhu na thuka
ye aish-ga nahin hai yan rang aur kuchh hai
har gul hai is chaman mein saghar bhara lahu ka
bulbul ghazal-sarai aage hamare mat kar
sab hum se sikhte hain andaz guftugu ka
galiyan bhari paDi hain ai baad zaKHmiyon se
mat khol pech zalim us zulf-e-mushk-bu ka
we pahli iltifaten sari fareb niklin
dena na tha dil us ko main 'mir' aah chauka
(443) Peoples Rate This