Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka
guzra bana-e-charKH se nala pagah ka
KHana-KHarab ho jiyo is dil ki chah ka
aankhon mein ji mera hai udhar dekhta nahin
marta hun mein to hae re sarfa nigah ka
sad KHanuman-KHarab hain har har qadam pe dafan
kushta hun yar main to tere ghar ki rah ka
yak qatra KHun ho ke palak se Tapak paDa
qissa ye kuchh hua dil ghufran-panah ka
talwar marna to tumhein khel hai wale
jata rahe na jaan kaso be-gunah ka
bad-nam-o-KHwar-o-zar-o-nazar-o-shikasta-haal
ahwal kuchh na pochhiye us ru-siyah ka
zalim zamin se lauTta daman uTha ke chal
hoga kamin mein hath kaso dad-KHwah ka
ai taj-e-shah na sar ko farw laun tere pas
hai mo'taqid faqir namad ki kulah ka
har laKHt-e-dil mein said ke paikan bhi gae
dekha main shoKH ThaTh teri said-e-gah ka
bimar tu na howe jiye jab talak ki 'mir'
sone na dega shor teri aah aah ka
(402) Peoples Rate This