Guzar Jaan Se Aur Dar Kuchh Nahin
guzar jaan se aur Dar kuchh nahin
rah-e-ishq mein phir KHatar kuchh nahin
hai ab kaam dil jis pe mauquf to
wo nala ki jis mein asar kuchh nahin
hua mail us sarw ka dil mera
ba-juz jaur jis se samar kuchh nahin
na kar apne mahwon ka hargiz suragh
gae guzre bas ab KHabar kuchh nahin
teri ho chuki KHushk mizhgan ki sab
lahu ab jigar mein magar kuchh nahin
haya se nahin pusht-e-pa par wo chashm
mera haal madd-e-nazar kuchh nahin
karun kyunke inkar ishq aah mein
ye rona bhala kya hai gar kuchh nahin
kamar us ki rashk rag-e-jaan hai 'mir'
gharaz is se barik-tar kuchh nahin
(434) Peoples Rate This