Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_883eb68d28ad47ef66198640fc927c0a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha

gul-o-bulbul bahaar mein dekha

ek tujh ko hazar mein dekha

jal gaya dil safed hain aankhen

ye to kuchh intizar mein dekha

jaisa muztar tha zindagi mein dil

wohin main ne qarar mein dekha

aable ka bhi hona daman-gir

tere kuche ke KHar mein dekha

tera aalam hua ye roz-e-siyah

apne dil ke ghubar mein dekha

zabh kar main kaha tha marta hun

dam nahin mujh shikar mein dekha

jin balaon ko 'mir' sunte the

un ko is rozgar mein dekha

(509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gul-o-bulbul Bahaar Mein Dekha in PDF.