Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa
gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa
burqe se gar nikla kahin chehra tera mahtab sa
gul-e-barg ka ye rang hai marjaan ka aisa Dhang hai
dekho na jhumke hai paDa wo honT lal-e-nab sa
wo maya-e-jaan to kahin paida nahin jon kimiya
main shauq ki ifraat se betab hun simab sa
dil tab hi laya na Tuk ta yaad rahta ham-nashin
ab aish roz-e-wasl ka hai ji mein bhula KHwab sa
sannahaTe mein jaan ke hosh-o-hawas-o-dam na tha
asbab sara le gaya aaya tha ek sailab sa
hum sar-kashi se muddaton masjid se bach bach kar chale
ab sajde hi mein guzre hai qad jo hua mehrab sa
thi ishq ki wo ibtida jo mauj si uTThi kabhu
ab dida-e-tar ko jo tum dekho to hai girdab sa
bahke jo hum mast aa gae sau bar masjid se uTha
waiz ko mare KHauf ke kal lag gaya jullab sa
rakh hath dil par 'mir' ke daryaft kar kya haal hai
rahta hai aksar ye jawan kuchh in dinon betab sa
(450) Peoples Rate This