Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka
gila nahin hai hamein apni jaan-gudazi ka
jigar pe zaKHm hai us ki zaban-daraazi ka
samand-e-naz ne us ke jahan kiya pamal
wahi hai ab bhi use shauq tark tazi ka
sitam hain qahr hain launDe sharab-KHane ke
utar lete hain amama har namazi ka
ulaT-palaT meri aah-e-sahar ki kya hai kam
agar KHayal tumhein howe neza-bazi ka
batao hum se koi aan tum se kya bigDi
nahin hai tum ko saliqa zamana-sazi ka
KHuda ko kaam to saunpe hain main ne sab lekin
rahe hai KHauf mujhe wan ki be-niyazi ka
chalo ho rah-e-muafiq kahe muKHalif ke
tariq chhoD diya tum ne dil-nawazi ka
kaso ki baat ne aage mere na paya rang
dilon mein naqsh hai meri suKHan-taraazi ka
basan-e-KHak ho pamal rah-e-KHalq ai 'mir'
rakhe hai dil mein agar qasd sarfaraazi ka
(432) Peoples Rate This