Ghazal Mir Ki Kab PaDhai Nahin
ghazal 'mir' ki kab paDhai nahin
ki haalat mujhe ghash ki aai nahin
zaban se hamari hai sayyaad KHush
hamein ab ummid-e-rihai nahin
kitabat gai kab ki us shoKH ne
bana us ki gaDDi uDai nahin
nasim aai mere qafas mein abas
gulistan se do phul lai nahin
meri dil-lagi us ke ru se hi hai
gul-e-tar se kuchh aashnai nahin
nawishte ki KHubi likhi kab gai
kitabat bhi ek ab tak aai nahin
juda rahte barson hue kyunki ye
kinaya nahin be-adai nahin
gila hijr ka sun ke kahne laga
hamare tumhaare judai nahin
siyah-talai meri zahir hai ab
nahin shab ki us se laDai nahin
(446) Peoples Rate This