Ghamze Ne Uske Chori Mein Dil Ki Hunar Kiya
ghamze ne us ke chori mein dil ki hunar kiya
us KHanuman-KHarab ne aankhon mein ghar kiya
rang uD chala chaman mein gulon ka to kya nasim
hum ko to rozgar ne be-baal-o-par kiya
nafe jo thin mizaj ko awwal so ishq mein
aaKHir unhin dawaon ne hum ko zarar kiya
marta hun jaan den hain watan-dariyon pe log
aur sunte jate hain ki har ek ne safar kiya
kya jaanun bazm-e-aish ki saqi ki chashm dekh
main sohbat-e-sharab se aage safar kiya
jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-hawas kahan
sun lijiyo ki hum hi ne sina-sipar kiya
dil zaKHmi ho ke tujh tain pahuncha to kam nahin
is nim-kushta ne bhi qayamat jigar kiya
hai kaun aap mein jo mile tujh se mast naz
zauq-e-KHabar hi ne to hamein be-KHabar kya
wo dasht-e-KHaufnak raha hai mera watan
sun kar jise KHizr ne safar se hazar kiya
kuchh kam nahin hain shoabda-bazon se mai-gusar
daru pila ke shaiKH ko aadam se KHar kiya
hain chaaron taraf KHeme khaDe gard-baad ke
kya jaaniye junun ne irada kidhar kiya
luknat teri zaban ki hai sahar jis se shoKH
yak harf-e-nim-gufta ne dil par asar kiya
be-sharm mahz hai wo gunahgar jin ne 'mir'
abr-e-karam ke samne daman tar kiya
(419) Peoples Rate This