Gham Raha Jab Tak Ki Dam Mein Dam Raha
gham raha jab tak ki dam mein dam raha
dil ke jaane ka nihayat gham raha
husn tha tera bahut aalam-fareb
KHat ke aane par bhi ek aalam raha
dil na pahuncha gosha-e-daman talak
qatra-e-KHun tha mizha par jam raha
sunte hain laila ke KHeme ko siyah
us mein majnun ka magar matam raha
jama-e-ehram-e-zahid par na ja
tha haram mein lek na-mahram raha
zulfen kholin to tu Tuk aaya nazar
umr bhar yan kaam-e-dil barham raha
us ke lab se talKH hum sunte rahe
apne haq mein aab-e-haiwan sam raha
mere rone ki haqiqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaghaz nam raha
subh-e-piri sham hone aai 'mir'
tu na cheta yan bahut din kam raha
(655) Peoples Rate This