Ghalat Hai Ishq Mein Ai Bul-hawas Andesha Rahat Ka
ghalat hai ishq mein ai bul-hawas andesha rahat ka
riwaj is mulk mein hai dard-o-dagh-o-ranj-o-kulfat ka
zamin ek safha-e-taswir be-hoshan se mana hai
ye majlis jab se hai achchha nahin kuchh rang sohbat ka
jahan jalwe se us mahbub ke yaksar labaalab hai
nazar paida kar awwal phir tamasha dekh qudrat ka
hanuz aawara-e-laila hai jaan-e-rafta majnun ki
mue par bhi raha hota nahin wabasta ulfat ka
harif-e-be-jigar hai sabr warna kal ki sohbat mein
niyaz-o-naz ka jhagDa giro tha ek jurat ka
nigah-e-yas bhi is said-e-afgan par ghanimat hai
nihayat tang hai ai said-e-bismil waqt fursat ka
KHarabi dil ki is had hai ki ye samjha nahin jata
ki aabaadi bhi yan thi ya ki virana tha muddat ka
nigah-e-mast ne us ki luTai KHanqa sari
paDa hai barham ab tak karKHana zohd-o-taat ka
qadam Tak dekh kar rakh 'mir' sar dil se nikalega
palak se shoKH-tar kanTa hai sahra-e-mohabbat ka
(482) Peoples Rate This