Ghair Ne Hum Ko Zabh Kiya Nai Taqat Hai Nai Yara Hai
ghair ne hum ko zabh kiya nai taqat hai nai yara hai
is kutte ne kar ke dileri said-e-haram ko mara hai
bagh ko tujh bin apne bhaen aatish di hai bahaaran ne
har ghuncha aKHgar hai hum ko har gul ek angara hai
jab tujh bin lagta hai taDapne jae hai nikla hathon se
hai jo girah sine mein us ko dil kahiye ya para hai
rah-e-hadis jo Tak bhi nikle kaun sikhae hum ko phir
ru-e-suKHan par kis ko de wo shoKH baDa ayyara hai
kaam us ka hai KHun-afshani har-dam teri furqat mein
chashm ko meri aa kar dekh ab lohu ka fawwara hai
baal khule wo shab ko shayad bistar naz pe sota tha
aai nasim-e-subh jo idhar phaila ambar sara hai
kis din daman khinch ke un ne yar se apna kaam liya
muddat guzri dekhte hum ko 'mir' bhi ek nakara hai
(439) Peoples Rate This