Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae
ghaalib ki ye dil-KHasta shab-e-hijr mein mar jae
ye raat nahin wo jo kahani mein guzar jae
hai turfa mufattin-nigah us aaina-ru ki
ek pal mein kare sainkaDon KHun aur mukar jae
ne but-kada hai manzil-e-maqsud na kaba
jo koi talashi ho tera aah kidhar jae
har subh to KHurshid tere munh pe chaDhe hai
aisa na ho ye sada kahin ji se utar jae
yaqut koi un ko kahe hai koi gul-barg
Tuk honT hila tu bhi ki ek baat Thahar jae
hum taza shahidon ko na aa dekhne nazan
daman ki teri zah kahin lohu mein na bhar jae
girye ko mere dekh Tuk ek shahr ke bahar
ek sath hai pani ka jahan tak ki nazar jae
mat baiTh bahut ishq ke aazurda dilon mein
nala kasu mazlum ka tasir na kar jae
is warte se taKHta jo koi pahunche kinare
to 'mir' watan mere bhi shayad ye KHabar jae
(455) Peoples Rate This