Garm Hain Shor Se Tujh Husn Ke Bazar Kai
garm hain shor se tujh husn ke bazar kai
rashk se jalte hain yusuf ke KHaridar kai
kab talak dagh dikhawegi asiri mujh ko
mar gae sath ke mere to giraftar kai
we hi chaalakiyan hathon ki hain jo awwal thin
ab gareban mein mere rah gae hain tar kai
KHauf-e-tanhai nahin kar tu jahan se to safar
har jagah rah-e-adam mein milenge yar kai
iztirab-o-qilq-o-zoaf mein kis taur jiyun
jaan wahid hai meri aur hain aazar kai
kyun na hun KHasta bhala main ki sitam ke tere
tir hain par kai war hain sofar kai
apne kuche mein nikaliyo to sambhaale daman
yaadgar-e-mizha-e-'mir' hain wan KHar kai
(442) Peoples Rate This