Garche Kab Dekhte Ho Par Dekho

garche kab dekhte ho par dekho

aarzu hai ki tum idhar dekho

ishq kya kya hamein dikhata hai

aah tum bhi to ek nazar dekho

yun araq jalwa-gar hai us munh par

jis tarah os phul par dekho

har KHarash-e-jabin jarahat hai

naKHun-e-shauq ka hunar dekho

thi hamein aarzu lab-e-KHandan

so ewaz us ke chashm-e-tar dekho

rang-rafta bhi dil ko khinche hai

ek shab aur yan sahar dekho

dil hua hai taraf mohabbat ka

KHun ke qatre ka jigar dekho

pahunche hain hum qarib marne ke

yani jate hain dur agar dekho

lutf mujh mein bhi hain hazaron 'mir'

didani hun jo soch kar dekho

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Kab Dekhte Ho Par Dekho In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Garche Kab Dekhte Ho Par Dekho is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Garche Kab Dekhte Ho Par Dekho for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Garche Kab Dekhte Ho Par Dekho in PDF.