Gar Kuchh Ho Dard Aaina Yun CharKH-e-zisht Mein
gar kuchh ho dard aaina yun charKH-e-zisht mein
in suraton ko sirf kare KHak-o-KHisht mein
rakhta hai soz-e-ishq se dozaKH mein roz-o-shab
le jaega ye soKHta-dil kya bahisht mein
aasuda kyunke hun main ki manind-e-gard-baad
aawargi tamam hai meri sarisht mein
kab tak KHarab sai-e-tawaf-e-haram rahun
dil ko uTha ke baiTh rahunga kunisht mein
matam ke hun zamin pe KHirman to kya ajab
hota hai nil charKH ki us sabz kisht mein
sarmast hum hain aankhon ke dekhe se yar ki
kab ye nasha hai duKHtar-e-raz tujh palisht mein
rindon ke tain hamesha malamat kare hai tu
aajaiyo na shaiKH kahin hasht-bahisht mein
name ko chaak kar ke kare nama-bar ko qatl
kya ye likha tha 'mir' mari sar-nawisht mein
(428) Peoples Rate This