Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki
gai chhanw us tegh ki sar se jab ki
jale dhup mein yan talak hum ki tab ki
paDi KHirman-e-gul pe bijli si aaKHir
mere KHush-nigah ki nigah ek ghazab ki
koi baat nikle hai dushwar munh se
Tak ek to bhi to sun kisi jaan-ba-lab ki
tu shamla jo rakhta hai KHar hai wagarna
zarurat hai kya shaiKH dam ek wajab ki
yakayak bhi aa sar pe wamandgan ke
bahut dekhte hain teri rah kab ki
dimagh-o-jigar dil muKHalif hue hain
hui muttafiq ab idhar rae sab ki
tujhe kyunke DhunDun ki sote hi guzri
teri rah mein apne piye talab ki
dil arsh se guzre hai zoaf mein bhi
ye zor-awari dekho zari-e-shab ki
ajab kuchh hai gar 'mir' aawe mayassar
gulabi sharab aur ghazal apne Dhab ki
(460) Peoples Rate This