Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se
gae ji se chhoTe buton ki jafa se
yahi baat hum chahte the KHuda se
wo apni hi KHubi pe rahta hai nazan
maro ya jiyo koi us ki bala se
koi hum se khulte hain band us qaba ke
ye uqde khulenge kaso ki dua se
pasheman tauba se hoga adam mein
ki ghafil chala shaiKH lutf-e-hawa se
na rakhi meri KHak bhi us gali mein
kudurat mujhe hai nihayat saba se
jigar-sui-e-mizhgan khincha jae hai kuchh
magar dida-e-tar hain lohu ke pyase
agar chashm hai to wahi ain haq hai
tassub tujhe hai ajab ma-siwa se
tabib subuk-e-aql hargiz na samjha
hua dard-e-ishq aah duna dawa se
Tak ai muddai chashm-e-insaf wa kar
ki baiThe hain ye qafiye kis ada se
na shikwa shikayat na harf-o-hikayat
kaho 'mir' ji aaj kyun ho KHafa se
(467) Peoples Rate This