Fikr Hai Mah Ke Jo Shahr-badar Karne Ki
fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki
hai saza tujh pe ye gustaKH nazar karne ki
kah hadis aane ki us ke jo kiya shadi marg
nama-bar kya chali thi hum ko KHabar karne ki
kya jali jati hai KHubi hi mein apni ai shama
kah patange ke bhi kuchh sham-o-sahar karne ki
ab ke barsat hi ke zimme tha aalam ka wabaal
main to khai thi qasam chashm ke tar karne ki
phul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-para
tarz sikhi hai mere TukDe jigar karne ki
un dinon nikle hai aaghushta ba-KHun raaton ko
dhun hai nale ko kaso dil mein asar karne ki
ishq mein tere guzarti nahin bin sar paTke
surat ek ye rahi hai umr basar karne ki
karwani hai jahan umr aziz apni 'mir'
rah hai darpesh sada us ko safar karne ki
(385) Peoples Rate This