Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul
fasl-e-KHizan mein sair jo ki hum ne ja-e-gul
chhani chaman ki KHak na tha naqsh-e-pa-e-gul
allah re andalib ki aawaz-e-dil-KHarash
ji hi nikal gaya jo kaha un ne hae gul
maqdur tak sharab se rakh ankhDiyon mein rang
ye chashmak-e-pyala hai saqi hawa-e-gul
ye dekh sina dagh se rashk-e-chaman hai yan
bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khae gul
bulbul hazar ji se KHaridar us ki hai
ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul
nikla hai aisi KHak se kis sada-ru ki ye
qabil durud bhejne ke hai safa-e-gul
bare sarishk-e-surKH ke daghon se raat ko
bistar par apne sote the hum bhi bichhae gul
aa andalib sulh karen jang ho chuki
le ai zaban-daraaz tu sab kuchh siwae gul
gulchin samajh ke chuniyo ki gulshan mein 'mir' ke
laKHt-e-jigar paDe hain nahin barg-ha-e-gul
(398) Peoples Rate This