Faqirana Aae Sada Kar Chale
faqirana aae sada kar chale
ki myan KHush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kahte the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
shifa apni taqdir hi mein na thi
ki maqdur tak to dawa kar chale
paDe aise asbab payan-e-kar
ki na-chaar yun ji jala kar chale
wo kya chiz hai aah jis ke liye
har ek chiz se dil uTha kar chale
koi na-umidana karte nigah
so tum hum se munh bhi chhupa kar chale
bahut aarzu thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki be-KHud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
jabin sajda karte hi karte gai
haq-e-bandagi hum ada kar chale
parastish ki yan tak ki ai but tujhe
nazar mein sabhon ki KHuda kar chale
jhaDe phul jis rang gulbun se yun
chaman mein jahan ke hum aa kar chale
na dekha gham-e-dostan shukr hai
hamin dagh apna dikha kar chale
gai umr dar-band-e-fikr-e-ghazal
so is fan ko aisa baDa kar chale
kahen kya jo puchhe koi hum se 'mir'
jahan mein tum aae the kya kar chale
(530) Peoples Rate This