Falak Ne Gar Kiya RuKHsat Mujhe Sair-e-bayaban Ko
falak ne gar kiya ruKHsat mujhe sair-e-bayaban ko
nikala sar se mere jae mu KHar-e-mughilan ko
wo zalim bhi to samjhe kah rakha hai hum ne yaran ko
ki goristan se gaDen juda hum ahl-e-hijran ko
nahin ye bed-e-majnun gardish-e-gardun-e-gardan ne
banaya hai shajar kya jaaniye kis mu pareshan ko
hue the jaise mar jate par ab to saKHt hasrat hai
kiya dushwar nadani se hum ne kar-e-asan ko
kahin nasl aadmi ki uTh na jawe is zamane mein
ki moti aab-e-haiwan jaante hain aab-e-insan ko
tujhe gir chashm-e-ibrat hai to aandhi aur bagule se
tamasha kar ghubar-afshani KHak-e-azizan ko
libas-e-mard-e-maidan jauhar-e-zati kifayat hai
nahin piroe poshish marke mein tegh-e-uryan ko
hawa-e-abr mein garmi nahin jo tu na ho saqi
dam afsurda kar de munjamid rashhat-e-baran ko
jalen hain kab ki mizhgan aansuon ki garm-joshi se
us aab-e-chashm ki joshish ne aatish di nistan ko
wo kafir ishq ka hai dil ki meri bhi rag-e-jaan tak
sada zunnar hi tasbih hai us na-musalman ko
ghurur-e-naz se aankhen na kholin is jafa-ju ne
mila panw tale jab tak na chashm-e-sad-ghazalan ko
na si chashm-e-tama KHwan-e-falak par KHam-dasti se
ki jam-e-KHun de hai har sahar ye apne mehman ko
zi-bas sirf junun mere hua aahan ajab mat kar
na ho gar halqa-e-dar KHana-e-zanjir-sazan ko
bane na-waqif-e-shadi agar hum bazm-e-ishrat mein
dahan-e-zaKHm-e-dil samjhe jo dekha ru-e-KHandan ko
nahin reg-e-rawan majnun ke dil ki be-qarari ne
kiya hai muztarib har zarra-e-gard-e-bayaban ko
kisi ke waste ruswa-e-alam ho pe ji mein rakh
ki mara jae jo zahir kare us raaz-e-pinhan ko
giri paDti hai bijli hi tabhi se KHirman gul par
Tak ek hans mere rone par ki dekhe tere dandan ko
ghurur-e-naz-e-qatil ko liye ja hai koi puchhe
chala to saunp kar kis ke tain us said-e-be-jaan ko
wo tuKHm-e-soKHta the hum ki sar-sabzi na ki hasil
milaya KHak mein dana namat hasrat se dahqan ko
hua hun ghuncha-e-pazhmurda aaKHir fasl ka tujh bin
na de barbaad hasrat kusta-e-sar-dar-gareban ko
gham-o-andoh-o-be-tabi alam be-taqati hirman
kahun ai ham-nashin ta-chand gham-ha-e-firawan ko
gul-o-sarw-o-saman gir jaenge mat sair-e-gulshan kar
mila mat KHak mein un bagh ke raana jawanan ko
bahut roe jo hum ye aastin rakh munh pe ai bijli
na chashm-e-kam se dekh us yaadgar-e-chashm-e-giryan ko
mizaj us waqt hai ek matla-e-taza pe kuchh mail
ki be-fikr suKHan banti nahin hargiz suKHan-dan ko
(529) Peoples Rate This