Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai
falak karne ke qabil aasman hai
ki ye pirana-sar jahil jawan hai
gae un qafilon se bhi uThi gard
hamari KHak kya jaanen kahan hai
bahut na-mehrban rahta hai yani
hamare haal par kuchh mehrban hai
hamein jis jae kal ghash aa gaya tha
wahin shayad ki us ka aastan hai
mizha har ek hai us ki tez nawak
KHamida bhaun jo hai zorin kaman hai
use jab tak hai tir-andazi ka shauq
zabuni par meri KHatir nishan hai
chali jati hai dhaDkon hi mein jaan bhi
yahin se kahte hain jaan ko rawan hai
usi ka dam bhara karte rahenge
badan mein apne jab tak nim-jaan hai
paDa hai phul ghar mein kahe ko 'mir'
jhamak hai gul ki barq-e-ashiyan hai
(484) Peoples Rate This