Ek Parwaz Ko Bhi RuKHsat-e-sayyaad Nahin
ek parwaz ko bhi ruKHsat-e-sayyaad nahin
warna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulad nahin
shaiKH-e-uzlat to tah-e-KHak bhi pahunchegi baham
muft hai sair ki ye aalam-e-ijad nahin
dad le chhoDun main sayyaad se apni lekin
zoaf se mere tain taqat-e-faryaad nahin
kyun hi mazur bhi rakh yun to samajh dil mein shaiKH
ye qadah-KHwar mere qabil-e-irshad nahin
be-sutun bhi hai wahi aur wahi ju-e-shir
tha namak shohrat-e-shirin ka so farhad nahin
kya kahun 'mir' faramosh kiya un ne tujhe
main to taqrib bhi ki par tu use yaad nahin
(447) Peoples Rate This