Dil-o-dimagh Hai Ab Kis Ko Zindagani Ka
dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka
jo koi dam hai to afsos hai jawani ka
agarche umr ke das din ye lab rahe KHamosh
suKHan rahega sada meri kam-zabani ka
subuk hai aawe jo mindil rakh namaz ko shaiKH
raha hai kaun sa ab waqt sargirani ka
hazar jaan se qurban be-pari ke hain
KHayal bhi kabhu guzra na par-fishani ka
phire hai khinche hi talwar mujh pe har-dam to
ki said hun main teri dushmani jaani ka
numud kar ke wahin bahr-e-gham mein baiTh gaya
kahe to 'mir' bhi ek bulbula tha pani ka
(479) Peoples Rate This