Dil-e-betab Aafat Hai Bala Hai
dil-e-betab aafat hai bala hai
jigar sab kha gaya ab kya raha hai
hamara to hai asl-e-muddaa tu
KHuda jaane tera kya muddaa hai
mohabbat-kushta hain hum yan kisu pas
hamare dard ki bhi kuchh dawa hai
haram se dair uTh jaana nahin aib
agar yan hai KHuda wan bhi KHuda hai
nahin milta suKHan apna kisu se
hamara guftugu ka Dhab juda hai
koi hai dil khinche jate hain udhar
fuzuli hai tajassus ye ki kya hai
marun main is mein ya rah jaun jita
yahi shewa mera mehr-o-wafa hai
saba udhar gul udhar sarw udhar
usi ki bagh mein ab to hawa hai
tamasha-kardani hai dagh-e-sina
ye phul is taKHte mein taza khila hai
hazaron un ne aisi kin adaen
qayamat jaise ek us ki ada hai
jagah afsos ki hai baad chande
abhi to dil hamara bhi baja hai
jo chupke hun kahe chupke ho kyun tum
kaho jo kuchh tumhaara muddaa hai
suKHan kariye to howe harf-zan yun
bas ab munh mund le main ne suna hai
kab us begana-KHu ko samjhe aalam
agarche yar aalam-ashna hai
na aalam mein hai ne aalam se bahar
pa sab aalam se aalam hi juda hai
laga main gird sar phirne to bola
tumhaara 'mir' sahib sar-phira hai
(507) Peoples Rate This