Dil Saf Ho To Jalwa-gah-e-yar Kyun Na Ho
dil saf ho to jalwa-gah-e-yar kyun na ho
aaina ho to qabil-e-didar kyun na ho
aalam tamam us ka giraftar kyun na ho
wo naz-pesha ek hai ayyar kyun na ho
mustaghyana to jo kare pahle hi suluk
aashiq ko fikr-e-aqibat-kar kyun na ho
rahmat ghazab mein nisbat-e-barq-o-sahab hai
jis ko shuur ho to gunahgar kyun na ho
dushman to ek taraf ki sabab rashk ka hai yan
dar ka shighaf-o-raKHna-e-diwar kyun na ho
aayat-e-haq hain sare ye zarraat-e-kaenat
inkar tujh ko howe so iqrar kyun na ho
har-dam ki taza marg-e-judai se tang hun
hona jo kuchh hai aah so yak-bar kyun na ho
mu-e-safed hum ko kahe hai ki ghafilan
ab subh hone aai hai bedar kyun na ho
nazdik apne hum ne to sab kar rakha hai sahal
phir 'mir' is mein murdan-e-dushwar kyun na ho
(477) Peoples Rate This