Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai
dil ki taraf kuchh aah se dil ka lagao hai
Tak aap bhi to aaiye yan zor baw hai
uThta nahin hai hath tera tegh-e-jaur se
nahaq kushi kahan tain ye kya subhaw hai
bagh-e-nazar hai chashm ke manzar ka sab jahan
Tak Thahro yan to jaano ki kaisa dikhao hai
taqrib hum ne Dali hai us se jue ki ab
jo ban paDe hai Tak to hamara hi daw hai
Tapka kare hai aankh se lohu hi roz-o-shab
chehre pe mere chashm hai ya koi ghaw hai
zabt sarishk-e-KHunin se ji kyunke shad ho
ab dil ki taraf lohu ka sara bahao hai
ab sab ke rozgar ki surat bigaD gai
lakhon mein ek do ka kahin kuchh banao hai
chhati ke meri sare numudar hain ye zaKHm
parda raha hai kaun sa ab kya chhupao hai
aashiq kahen jo hoge to jaanoge qadr-e-'mir'
ab to kisi ke chahne ka tum ko chaw hai
(489) Peoples Rate This