Dil Ke Tin Aatish-e-hijran Se Bachaya Na Gaya
dil ke tin aatish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samne par hum se bujhaya na gaya
dil mein rah-e-dil mein ki meamar-e-qaza se ab tak
aisa matbu-e-makan koi banaya na gaya
kabhu aashiq ka tere jabhe se naKHun ka KHarash
KHat-e-taqdir ke manind miTaya na gaya
kya tunuk-hausla the dida-o-dil apne aah
ek dam raaz-e-mohabbat ka chhupaya na gaya
dil jo didar ka qatil ke bahut bhuka tha
us sitam-kushta se ek zaKHm bhi khaya na gaya
main to tha said-e-zabun said-gah-e-ishq ke beach
aap ko KHak mein bhi KHub milaya na gaya
shahr-e-dil-e-ah ajab jae thi par us ke gae
aisa ujDa ki kisi tarah basaya na gaya
aaj rukti nahin KHame ki zaban rakhiye muaf
harf ka tul bhi jo mujh se ghaTaya na gaya
(525) Peoples Rate This