Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha
dil jo zer-e-ghubar aksar tha
kuchh mizaj in dinon mukaddar tha
is pe takiya kiya to tha lekin
raat-din hum the aur bistar tha
sarsari tum jahan se guzre
warna har ja jahan-e-digar tha
dil ki kuchh qadar karte rahiyo tum
ye hamara bhi naz-parwar tha
baad yak umr jo hua malum
dil us aaina-ru ka patthar tha
bare sajda ada kiya tah-e-tegh
kab se ye bojh mere sar par tha
kyun na abr-e-siyah safed hawa
jab talak ahd-e-dida-e-tar tha
ab KHaraba hua jahanabaad
warna har ek qadam pe yan ghar tha
be-zari ka na kar gila ghafil
rah tasalli ki yun muqaddar tha
itne munim jahan mein guzre
waqt rehlat ke kis kane zar tha
sahib-e-jah-o-shakat-o-iqbaal
ek azan jumla ab sikandar tha
thi ye sab kaenat zer-e-nagin
sath mor-o-malaKH sa lashkar tha
lal-o-yaqut hum zar-o-gauhar
chahiye jis qadar mayassar tha
aaKHir-e-kar jab jahan se gaya
hath KHali kafan se bahar tha
aib tul-e-kalam mat kariyo
kya karun main suKHan se KHugar tha
KHush raha jab talak raha jita
'mir' malum hai qalandar tha
(590) Peoples Rate This